0

kuch rang , koi khayal …….

Okk, I dont know what actually was in my mind , but i just wrote down this ,it will be great if you can understand this and explain it to me as well , I am putting it in “Random Thoughts ” category…

here it goes…
Zindagi ki kitab…

Zindagi ke kitab ke panne kuch kore reh gaye hai ,
mere kuch sapne adhoore reh gaye hai ,
jo shayad kabhi poore na ho payenge,
aur wo panne yuhi kore reh jayenge ,

phir bhi maine kuch panno ko lal rang se bhara hai,
aur unmein kuch sindoori shamo ko shamil kara hai,

wo sahil bhi hai wahan jismein sooraj doobta hai
wo aasman bhi hai jismein chand khilta hai,
mein bhi wahin hi kahin hoon,
sagar ki girti uthti lehro mein kahin bheeg rahi hooon,
lehro ke sang behkar kuch seepiyaan meer paon mein aa gayi hai,
unhe samet kar rakh liya hai , meri ye yaadein lal ho gayi hai.

kuch panne meri zindagi ke dhani hai,
kuch sookhe kuch hare patto ke beech mein se behta hua hara hara paani hai,

unhi dino hare bhare pedo ke jhurmut ke beech mein rehti thi ek chidiya mastani si,
idhar udhar thumakti rehti ,apni hi dhun mein duniya se begaani si,
un dino raho per chalte hue,sooraj tapta tha,
to yehi hara rang meri chaya banta tha,
un dino jab kabhi jab kahin garmi rehti thi,
yehi hara rang bankar mast pawan behti thi,
na jaane kyun ye hara rang ab kam ho raha hai ,
au ye hara rang kuch kuch peela ho raha hai.

yaad hai tumko wo aasmani rang,
aasmani rang ke aanchal per bikhre sitare ,
jaise kali rato mein aasman ko sajaye aur saware,
us lehrate hue aanchal ne mujhe pankh diye,
us neele aasman mein udne ke liye sapne diye,
us neeli jheel mein kagaz ki nav bhi tairayi thi,
yad hai tumko ,hamko kitni hasi ayi thi,
jheel ke beech us neele pani ko maine hatho se udaya tha,
aur us ude hue pani ka rang safed ho gaya tha,
wo meri jizdagi ke kuch neele rang the ,
per wo jheel ka neela pani jismein aasman ka aks dekha tha
wo ab kala ho gaya hai,
shayad usmein jhoot ,fareb,beparwahi ne ghar kar liya hai.

aur bhi rang the meri zindagi mein,
per tere jaane se wo rang rang na rahe,
kuch aur hi ho gaye hai,
sooraj ab thanda lagta hai,
chand ab jalata hai,
aasoon aksar mein meri aankhon mein rehte hai,
purane waqt ki yaadon se hi mere lab muskurate hai,
kyun meri zindagi ke sab rang le gaye tum,
kyun mera lal rang ,kala kar gaye tum.

bas ab koshish yahi hai,
kuch naya rang banaoon,
kuch purani yaadon ko pas rakh kuch nayi yaadein sajaoon,
koi naya rang ijaat karoon,
phir se apni zindagi ko rangeen banaoon.