Maa

Wo lamhe dhoondti hoon,jismein tu thi,
Wo garmahat dhoondti hoon ,tere pyar ki,
Veeran sa jungle bhara hua ghar lagta hai,
Maa tere bin ghar ghar nahi lagta hai,
Ghar jaisa tune rakha tha waisa  rakhne ki koshish karti hoon,
Shayad yun karke ghar mein tere hone ka ehsas karti hoon,
Har pal aankhon mein tu rehti hai,
Khud se shikayat rehti hai,
Dhoondti hoon tujhe har pal ghar mein,
Awaj lagati hoon,shayad tu sunle

Tujge jaana hi tha to bata deti ,
Kuch pal mere sath aur  bita leti,
Bithati apne pas,
Bin tere kaise jeena hai sikhati apne sath,

Kuch shikve ,kuch gile reh gaye,
Kuch khwaishe asoonon ke sath beh gaye
Tujhe jo na keh saki wo hothon per lafz reh gaye,
Tere sath kuch adhoore sapne reh gaye

Kyun gayi tu mujhe akela chod kar,
Le jaati apne sath ungli pakad kar
Tujhe pata hai mujhse dard sehan nahi hota,
Kyun phir tu gayi aisa dard dekar

Tujh bin jeena seekhna hai ab,
Ya phir shayad sirf saans lena hai ab
Tere bina kuch achcha nahi lagta mujhe
Jeena bahut kasakta hai mujhe
Per phir bhi …
Koshish rahegi tujh jaisi kuch to ban paaoon,
Kuch karoon aisa ki door se hi sahi tujhe kush kar paaoon

One thought on “Maa

Leave a comment