Mein aur maa

Khana parosa hua to mila, per  usmein na pyar ki garmahat thi na chulhe ki,
Maa tu us waqt bahut Yaad ayi

Kitni hi Baar baato ke patharo se Mera Dil toota,
Kise apne aasoon dikhati, bas thoda royi Mann mein ,Dil ki aawaj siskiyo mein daba di,
Maa tu us waqt bahut Yaad ayi

Sookhe baalo mein koi tel nhi lagata,
Bikhre balo ko koi nhi goonthata,
Jab maine uljhi julfe suljhayi,
Maa tu us waqt bahut Yaad ayi

Kisse dil ka haal kahoon,
Kaun ab mujhe samjhega,
Mera rona ,mera gussa ab kaun  jhelega,
Koi nhi sunta maa ki siva peer parayi,
Maa tu har waqt bahut Yaad ayi

Kyun mujhe akela chod kar khuda ke sang preet nibhayi,
Sab kuch soona hai ,har jagah tanhai
Tujhse maafi bhi na maang payi,
Tera Dil dukhaya , saza usi ki maine payi
Maa tu us waqt bahut Yaad ayi

Leave a comment